Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Aadmi Nirbal Samay Balwan Hai - आदमी निर्बल समय बलवान हैं
bal na vidhaya aur na sahas kam aata
hoke rahta wo jo likh deta vidata
samay se hara savyam bhagwan hai
aadmi nirbal samay balwan hai
aadmi tinka samay tufan hai
aadmi nirbal samay balwan hai
aadmi tinka samay tufan hai
pas jiske raz tha sukh tha bhawan the
naam tha eshvary tha dhan tha ratan the
jo parja ka tha dulara paran pyara
sawrag ko dharti pe tha jisne utara
aaj uska ho raha apman hai
aadmi nirbal samay balwan hai
aadmi tinka samay tufan hai
dusro ki nav ka jo tha khivaiya
besahare hai usi ki aaj naiya
jo kabhi deta raha sabko sahara
ja raha wo thokare khata bechara
mangta sabse daya ka dan hai
aadmi nirbal samay balwan hai
aadmi tinka samay tufan hai
Comments for lyrics of song "Aadmi Nirbal Samay Balwan Hai"
aadil.sagir jamuna on Monday, April 20, 2015 Veri veri nice song