Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Aag Lagi Shola Utha Shama Pe - आग लगी शोला उठा शम्मा पे
aag lagi, aag lagi
aag lagi shola utha
shamma pe parwana gira
shamma pe parwana gira
puchh na anjam-e-wafa
ye bhi jali wo bhi jala
haye aag lagi, aag lagi
kaat ke saiyad ne par
saunp diya darde jigar
kaat ke saiyad ne par
saunp diya darde jigar
uspe ye taakid magar
aahe na bhar ma le nazar
ishq hai kya dekh liya
ishq hai kya dekh liya
ye bhi jali wo bhi jala
haye aag lagi, aag lagi
dil ki tadap dil me rahe
sabki sune kuch na kahe
dil ki tadap dil me rahe
sabki sune kuch na kahe
dard sahe zulm sahe
ashq na aankho se bahe
ye hai mohabbta ka maza
ye hai mohabbta ka maza
ye bhi jali wo bhi jala
haye aag lagi, aag lagi
bijliya gulshan pe giri
phul kahi bhaura kahi
bijliya gulshan pe giri
phul kahi bhaura kahi
khawab tha ye kitna hasin
aaj hua humko yakin
pyar ka anjam bura
pyar ka anjam bura
ye bhi jali wo bhi jala
haye aag lagi, aag lagi
aag lagi, aag lagi
aag lagi shola utha
shamma pe parwana gira
shamma pe parwana gira
puchh na anjam-e-wafa
ye bhi jali wo bhi jala
haye aag lagi, aag lagi
Comments for lyrics of song "Aag Lagi Shola Utha Shama Pe"
Riaz Ali on Wednesday, December 22, 2010 A lovely,rare and beautiful song of Shamshad Begum. Shamshad has ever
maintained her individuality in her lovely voice. I observed that her voice
did not vibrate whenever she brought it to peak. Thanks.
Punam Taneja on Thursday, August 16, 2012 MERA SALAAM (1957) BHARAT BHUSHAN, BINA ROY, NISHI, K.N SINGH, DURGA KHOTE,
VEENA, GOPE, AL NASIR Produced By: SUSHIL PICTURES Directed By: HARBANS
Music By: HAFEEZ KHAN Arvind.
Jagjit Singh Ishar on Saturday, September 15, 2012 Heard for the 1st time. The usual style of Shamshaad. Nice to hear.