Video of "Ab Kya Misal Doon Main Tumhare Shbaab Ki" from YouTube
Advertisement
Ab Kya Misal Doon Main Tumhare Shbaab Ki - अब क्या मिसाल दूँ मैं तुम्हारे शबाब की
SingerMohammed Rafi
Music byRoshan
LyricistMajrooh Sultanpuri
ActorMeena Kumari, Pradeep Kumar
CategoryTareef Songs, Romantic Songs, Raag Based Songs, Raga - Khamaj
MovieAarti (1962)
Lyrics of Ab Kya Misal Doon Main Tumhare Shbaab Ki - अब क्या मिसाल दूँ मैं तुम्हारे शबाब की
ab kya misaal doon maein tumhare shabaab ki
insaan ban gayee hai kiran mahtaab ki
chehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor
aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor
gardan hai ek jhuki hui daali gulab ki
ab kya misaal doon
gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe
chhule kadam to jhukke na phir aasman uthe
sau baar jhilmilaye shama aaftab ki
ab kya misaal doon
deewar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan
ghar ka mere chirag hai boota sa yeh badan
tasveer ho tumhi jannat ke khwab ki
ab kya misaal doon
insaan ban gayee hai kiran mahtaab ki
chehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor
aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor
gardan hai ek jhuki hui daali gulab ki
ab kya misaal doon
gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe
chhule kadam to jhukke na phir aasman uthe
sau baar jhilmilaye shama aaftab ki
ab kya misaal doon
deewar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan
ghar ka mere chirag hai boota sa yeh badan
tasveer ho tumhi jannat ke khwab ki
ab kya misaal doon
Poetic Translation - Lyrics of Ab Kya Misal Doon Main Tumhare Shbaab Ki - अब क्या मिसाल दूँ मैं तुम्हारे शबाब की
How shall I paint your youth, your bloom?
A moonbeam, flesh, escaped the tomb.
How shall I paint?
Your face, where moonlight softly spills,
Eyes drunk on gardens, night fulfills.
Your neck, a rose-bough, gently stooped.
How shall I paint?
Unbound, your tresses, evening's smoke,
Where footfalls touch, the heavens woke.
A hundred suns in flames anew,
How shall I paint?
The walls, your shawl, your dress so fair,
My home, lit by a body rare.
My paradise, a dream of you,
How shall I paint?
A moonbeam, flesh, escaped the tomb.
How shall I paint?
Your face, where moonlight softly spills,
Eyes drunk on gardens, night fulfills.
Your neck, a rose-bough, gently stooped.
How shall I paint?
Unbound, your tresses, evening's smoke,
Where footfalls touch, the heavens woke.
A hundred suns in flames anew,
How shall I paint?
The walls, your shawl, your dress so fair,
My home, lit by a body rare.
My paradise, a dream of you,
How shall I paint?
Aarti (1962) - Movie Details
Film CastAshok Kumar, Pradeep Kumar, Meena Kumari, Shashikala, Rajendra Nath, Keshto Mukherjee, Peace Kanwal, Chandrima Bhaduri, Ramesh Deo
SingerAsha Bhosle, Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar, Suman Kalyanpur
LyricistMajrooh Sultanpuri
Music ByRoshan
DirectorPhani Mazumdar
ProducerTarachand Barjatya
External LinksAarti at IMDB Aarti at Wikipedia
Movie at YTAarti at YT Aarti at YT(2)
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
Browse by Singer Name (Alphabetically)
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films

