Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Apne Liye Jiye To Kya Jiye, Tu Ji Ae Dil, Zamane Ke Liye - अपने लिये जीये तो क्या जीये, तू जी ए दिल, ज़माने के लिए
bazar se zamane ke
kuch bhi na hum kharidenge
bazar se zamane ke
kuch bhi na hum kharidenge
han bechkar khushi apni
logo ke gam kharidenge
bujhte diye jalane ke liye
bujhte diye jalane ke liye
tu ji ae dil zamane ke liye
apne liye jiye to kya jiye
himmat buland hai apni
patthar si jaan rakhte hain
himmat buland hai apni
patthar si jaan rakhte hain
kadmo tale zami to kya
hum aasmaan rakhte hain
girte huo ko uthane ke liye
girte huo ko uthane ke liye
tu ji e dil zamane ke liye
apne liye jiye to kya jiye
chal aaftaab le kar chal
chal mahtaab le kar chal
chal aaftaab le kar chal
chal mahtaab le kar chal
tu apni ek thokar me
sau inqalaab lekar chal
zulm o sitam mitane ke liye
zulm o sitam mitane ke liye
tu ji e dil zamane ke liye
apne liye jiye to kya jiye
apne liye jiye to kya jiye
tu ji e dil zamane ke liye
apne liye jiye to kya jiye
Comments for lyrics of song "Apne Liye Jiye To Kya Jiye, Tu Ji Ae Dil, Zamane Ke Liye"
kuckudk on Thursday, August 25, 2011 a song telling us how to conduct in life.