Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Aurat Teri Yahi Kahani - औरत तेरी यहीं कहानी
sewa tyag shama kurbani sadiyo se hai teri nishani
aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani
sewa tyag shama kurbani sadiyo se hai teri nishani
aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani
nafrat ke in andhiyaro me prem ke dip jalaye tu
aangan aangan phul khilaye
ghar ko svrag banaye tu is duniya ki har basti
aabad hai teri hasti se gulshan to gulshan hai
virano ko bhi mehkaye tu
dhup me tu chhav ban jaye pyas me tu ban jaye pani
aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani
dharti par duniya ka bojh
aurat par bojh mushibat ka
hans hanske apno me bante
phal tu apni mehnat ka sabka pet bhare aur khud
pani pikar so jaye tu kaise karz chukayegi
ye duniya teri khidmat ka
phir bhi is bedard jaha me teri koi kadar na jane
aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani
sewa tyag shama kurbani sadiyo se hai teri nishani
aurat teri yahi kahani aurat teri yahi kahani