Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Bekaraar Dil Tu Gaye Ja (Part - Ii)
bekarar dil tu gaye ja
khushiyo se bhare wo tarane
jinhe sunke dunia jhum uthe
or jhum uthe dil diwane
bekarar dil tu gaye ja
rag ho koi milan ka
dukh se bhari sargum ka
yug yug ke bandhan ka
sath ho lakho janam ka
aise hi bahare gati rahe
aur sajte rahe virane
jinhe sunke dunia jhum uthe
or jhum uthe dil diwane
bekarar dil tu gaye ja
khushiyo se bhare wo tarane
jinhe sunke dunia jhum uthe
or jhum uthe dil diwane
bekarar dil tu gaye ja
rat yuhi tham jayegi
rut ye hasin mushkayegi
bandhi kali khil jayegi
aur shabnam sharmayegi
pyar ke ho aise nagme
jo ban jaye afsane
jinhe sunkar dunia jhum uthe
or jhum uthe dil diwane
bekarar dil tu gaye ja
dard me dubi subah ho
sine me ek sulgan ho
sans me halki chubhan ho
sahmi hui dhadkan ho
dohrati rahe bas geet naye
dunia se rahe begane
jinhe sunke dunia jhum uthe
or jhum uthe dil diwane
bekarar dil tu gaye ja
khushiyo se bhare wo tarane
jinhe sunke dunia jhum uthe
or jhum uthe dil diwane
bekarar dil tu gaye ja
Comments for lyrics of song "Bekaraar Dil Tu Gaye Ja (Part - Ii)"
Gulabchand Punjabi on Friday, April 25, 2014 DIL NE AAWAJ DEKE KAHAN THA...AGAR HAM DILKI BAAT MANTE...DARD DILKE KAM HO
JAATE.MEI AUR TUM AGAR HAM HO JAATE.PHIR BEKRAAR DIL GAA UTHTA KUCHH
IS TARAAH...
Shantanu Chakraborty on Monday, October 07, 2013 mastkalander ji kya aap hume ashok kumar par filmaya gaya kishore kumar ke
gaane upload karke de sakten hain.agar nahin toh us gaane ka naam bata
dijiye please.
Shantanu Chakraborty on Monday, October 07, 2013 great kishore kumar great song .it is very surprising that how elder
brother lipping his younger brother's voice
Shantanu Chakraborty on Monday, October 07, 2013 main dekhkar bada hairan hua ki bade bhai chhote bhai ki aawaz par lip
singing kar raha hai.great song
Narendra Shah on Sunday, September 11, 2011 Another childhood favourite. But in spite of being siblings, somehow one
feels that the vocie of The Great KK, at least for this song, does not fit
for Ashok Kumar.. May be moods of both of them were different while
recording and at the time of picturisation.