Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Chal Falak Se Taare Tod Jhamoore - चल फलक से तारे तोड़ झमूरे
aadmi to ban ke janma
par mukaddar kya paaya
chal mukaddar wo dekha de
tu sikandar ka taaya
sar ko jhuka ke duniya ke aage
chaahe to maatha phor
ya phir palat ke rakh de tu baazi
duniya ko peeche chhor
chal falak se taare tod uchal ke
falak se taare tod
haan chal falak se taare tod
jamoore falak se taare tod
bahe dariya na tere saath to pagle
dariya ka rukh hi mor
chal falak se taare tor uchal ke
falak se taare tod
tu zamane ki nazar mein aaj khota sikka hai
waqt aane par batana tu hukm ka ikka hai
likhe ye baba aadam ke yug ke
saare niyam tu tod
bheed mein rehke sadkon pe apni
edi ragadna chhor
o haan chal falak se taare tor uchal ke
falak se taare tod
haan chal falak se taare tod
jamoore falak se taare tod
bahe dariya na tere saath to pagle
dariya ka rukh tu mod
chal falak se taare tod uchal ke
falak se taare tod