Video of "Dil Mein Kisee Ke Pyaar Kaa" from YouTube
Dil Mein Kisee Ke Pyaar Kaa Video Thumbnail
Advertisement
Dil Mein Kisee Ke Pyaar Kaa - दिल में किसी के प्यार का जलता हुआ दीया
Lyrics of Dil Mein Kisee Ke Pyaar Kaa - दिल में किसी के प्यार का जलता हुआ दीया
dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya
duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya
dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya
duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

saanso ki aanch paa ke bhadakta rahega ye
saanso ki aanch paa ke bhadakta rahega ye
sine mein dil ke saath dhadakta rahega ye
dhadakta rahega ye
wo naksh kyaa huaa jo mitaye se mit gayaa
wo dard kyaa huaa jo dabaaye se dab gayaa
dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya
duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya

ye jindagi bhi kyaa hain amaanat unhi ki hain
ye jindagi bhi kyaa hain amaanat unhi ki hain
ye shaayari bhi kyaa hain inaayat unhi ki hain
inaayat unhi ki hain
ab wo karam kare ke sitam unka faislaa
hum ne to dil mein pyaar kaa shola jagaa liyaa
dil mein kisi ke pyaar kaa jaltaa huaa deeya
duniyaa ki aandhiyo se bhalaa ye bujhegaa kya
lyrics of song Dil Mein Kisee Ke Pyaar Kaa
Poetic Translation - Lyrics of Dil Mein Kisee Ke Pyaar Kaa - दिल में किसी के प्यार का जलता हुआ दीया
A lamp of love, in a heart alight,
Can winds of the world extinguish its light?
A lamp of love, in a heart alight,
Can winds of the world extinguish its light?

Fueled by breath, it fiercely burns,
Fueled by breath, it fiercely burns,
With the heart in the chest, it turns,
It turns, and learns.
What mark has vanished, though erased with might?
What pain has faded, though suppressed from sight?
A lamp of love, in a heart alight,
Can winds of the world extinguish its light?

This life itself, a trust, their hold,
This life itself, a trust, their hold,
And poetry, a gift of gold,
A story told.
Their grace, their wrath, the choice they wield,
We lit the flame of love, our hearts revealed.
A lamp of love, in a heart alight,
Can winds of the world extinguish its light?

Ek Mahal Ho Sapno Ka (1975) - Movie Details
Film CastDharmendra, Sharmila Tagore, Ashok Kumar, Leena Chandavarkar, Deven Verma, David, Brahmachari, Ramesh Deo, Achla Sachdev SingerKishore Kumar, Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi LyricistSahir Ludhianvi Music ByRavi DirectorDevendra Goel ProducerDevendra Goel External LinksEk Mahal Ho Sapno Ka at IMDB      Ek Mahal Ho Sapno Ka at Wikipedia Movie at YTEk Mahal Ho Sapno Ka at YT    
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
Browse by Singer Name (Alphabetically)
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
Advertisement