Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ek Ek Zakham Kaa - एक एक ज़ख़्म का
sikander ko kisne haraya hai
sikander ko kaun harayega
jab jab sikander aayega
waqt ka sar jhuk jayega
ek ek zakhm ka lunga main hisab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
et ka main dunga patthar se jawab
khud likhunga zindagi aur maut ki kitab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
sab kuch jisne mera chhina
namumkin hai uska jeena
sab kuch jisne mera chhina
namumkin hai uska jeena
khak ho jayenge dushman humare
dil me jalaye rakhna tu angare
maut ke ghat utar ke lega
dum dil-e-betab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
fauladi hai mere irade
kisme dum hai mujhko mita de
fauladi hai mere irade
kisme dum hai mujhko mita de
jo tere gham hai wo mere bhi gham hai
tu nahi tanha tere sang hum hai
dub ke nikalta hai phir se aaftab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
et ka main dunga patthar se jawab
khud likhunga zindagi aur maut ki kitab
ek ek zakhm ka lunga main hisab
ek ek zakhm ka lunga main hisab