Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Fakeera Ghar Aajaa - फकीरा घर आजा
tujhko yaad hai bata
bhooli bisri woh jagah
usme lipti woh subaha
uss ek aangan ko bana
tu zameen aur aasmaan
phirta kyun hai yun tanha
doori jo darmiyaan hai
tujhme aur aashiyaan mein
kar de kam faasale tu…
dastak tu de yahaan pe
sunte hai dar wahan pe
kar de kam faasle zara
tu chhod zidd ko
fakeera ghar aaja
fakeera ghar aaja
fakeera ghar aaja
ho..
ajnabi shehron ki tu
kyun baahon mein soye
yun ginta sitare
majdhaar ki hai aadat
paas mein hi the hamesha kinare
tune dil pe tha likha
tere ghar ka pataa
seedhe aksharon mein yun
kyun akela iss tarah
baandhe moh ki doriyan
udta dil ka patanga
doori jo darmiyaan hai
tujhme aur aashiyaan mein
kar de kam faasale tu…
dastak tu de yahaan pe
sunte hai dar wahan pe
kar de kam faasle zara
tu chhod zidd ko
fakeera ghar aaja
fakeera ghar aaja
fakeera ghar aaja