Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Khamoshi
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
screen shot of song - Hamne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mahakati Khushbu
4.50 - 261 votes
Waheeda Rehman
Songs about Eyes, Romantic Songs, Raag Based Songs, Raga - Kafi
Video of the song from youtube

Lyrics of Hamne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mahakati Khushbu - हमने देखी है उन आँखों की महकती ख़ुशबू

humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
sirf ehsaas hain ye ruh se mahsus karo
pyar ko pyar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
humne dekhi hain

pyaar koi bol nahi, pyar aawaz nahi
ek khamoshi hain sunti hain kaha karti hain
na ye bujhti hain, na rukti hain, na thahri hain kahin
nur ki bund hain sadiyo se baha karti hain
sirf ehsaas hain ye ruh se mahasus karo
pyar ko pyar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
humne dekhi hain

muskurahat si khili rahti hain aankho me kahin
aur palko pe ujale se jhuke rahte hain
hoth kuch kahte nahi, kaanpte hotho pe magar
kitne khamosh se afsane ruke rahte hain
sirf ehsaas hain ye ruh se mahasus karo
pyar ko pyar hi rahne do koyi naam na do
humne dekhi hain un aankho ki mahakti khushbu
hath se chhuke ise rishto ka ilzaam na do
humne dekhi hain


lyrics of song Hamne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mahakati Khushbu

Comments for lyrics of song "Hamne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mahakati Khushbu"
Indu Puri on Sunday, September 08, 2013
pyaar koi bol nahi, pyaar aavaaz nahi ek khaamoshi hai sunati hai kahaa
karati hai naa ye bujhati hai naa rukati hai naa thahari hai kahi noor ki
boond hai sadiyo se bahaa karati hai sirf ehasaas hai ye, ruh se mahasus
karo.. kitne pyare bol ki.pyar ke ahsaas ki tarah inki tazgi
aaj bhi jyon ki tyon hai.

Anilkumar P K on Saturday, October 31, 2015
हम ने देखी है उन आखों की महकती खुशबू
हाथ से छूके इसे रिश्तो का इल्जाम ना दो
सिर्फ एहसास है ये रूह से महसूस करो
प्यार को प्यार ही रहने दो कोई नाम ना दो
प्यार कोई बोल नहीं, प्यार आवाज नहीं
एक खामोशी है सुनती है कहा करती है
न ये बुझती है, न रुकती है, न ठहरी है कही
नूर की बूँद है, सदियों से बहा करती है
मुस्कराहट सी खिली रहती है आँखों में कही
और पलको पे उजाले से झुके रहते हैं
होंठ कुछ कहते नहीं, कापते होठों पे मगर
कितने खामोश से अफसाने रुके रहते हैं

Anilkumar P K on Saturday, October 31, 2015
muskaraahat si khili rahati hai aankho me kahi
aur palako pe ujaale se chhupe rahate hai
hoth kuchh kahate nahi, kaanpate hotho pe magar
kitane khaamosh se afasaane ruke rahate hai
sirf ehasaas hai ye, ruh se mahasus karo
pyaar ko pyaar hi rahane do, koi naam naa do

Nitin Modi on Friday, November 06, 2015
Simply outstanding . True love defined in words by Gulzar saheb gr8
singiing by lata di

Harjinder Gill on Friday, November 06, 2015
awesome song that shows the classic poetry of GULZAR ...

View all 8 comments related to song Hamne Dekhi Hai In Aankhon Ki Mahakati Khushbu - हमने देखी है उन आँखों की महकती ख़ुशबू


Film cast: Rajesh Khanna, Waheeda Rehman, Sneh Lata, Nazir Hasain, Deven Verma, Iftekhar, Lalita Pawar, Dharmendra, Anwar Hussan, Bhudo Advani, Tarun Ghosh
Singer: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar, Manna Dey, Aarti Mukherji
Lyricist: Gulzar
Film Director: Asit Sen
Film Producer: Geetanjali
External Links: Khamoshi at IMDB    Khamoshi at Wikipedia
Watch Full Movie: Khamoshi at YouTube    Khamoshi at YouTube    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy