Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Har Jeevan Har Yug Me - हर जीवन हर युग में
har jeevan har yug me maine saath tumhaara maanga hai

saat janamke liye tumhi ko maine saat vachan se baandha hai

suraj ke sang karti hai fere dekho dharti dulhaniya
pyar ke rang me rangi huyi hai jaise saari duniya
har ladka ek sapno ka mohan har ladki ek raadha hai
har jeevan har yug me maine saath tumhaara maanga hai
sapno me bhi siva tumhaare dekha nahi koi duja
ho mandir mandir deep jalaaye har murat ko pooja
yu hi nahi tumhe paaya maine sadiyo tak tap saadha hai