Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Mulzim
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
4.40 - 5 votes
Qawwalis
Video of the song from youtube

Lyrics of Ishq Walo Pe Zamane Ki Nazar - इश्क वालो पे ज़माने की नजर

are o aane walo husn ki rangin mahfil me
khushi se muskurao tum
magar ye soch lo dil me kya
yahi to
ke ishk walo pe zamane ki najar hoti hai
ke ishk walo pe zamane ki najar hoti hai
ke ishk walo pe zamane ki najar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai
dil dhadakta hai haye haye
ho dil dhadkata hai
to duniya ko khabar hoti hai
dil dhadkata hai
to duniya ko khabar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai

husn or ishk ka anjaam khuda khair kare
husn or ishk ka anjaam khuda khair kare
aaj takraye hai do jaam khuda khair kare
aaj takraye hai do jaam khuda khair kare
aashiki josh me hai bekhudi hosh me hai
ishk majbur nahi husn bhi dur nahi

aarzu me hai jawa dil se uthta hai dhua
chot sahte na bane muh se kahte na bane
aaj hai agar ye nasha, jane kal rang ho kya
aaj hai agar ye nasha, jane kal rang ho kya
isiliye to kaha hai
husn or ishk ka anjaam khuda khair kare
husn or ishk ka anjaam khuda khair kare
aaj takraye hai do jaam khuda khair kare
aaj takraye hai do jaam khuda khair kare
lekin dekhna ye hai
aaj takraye hai do jaam khuda khair kare
dekhna ye hai ke aawaz kidhar hoti hai
dekhna ye hai ke aawaz kidhar hoti hai
dil dhadkata hai
to duniya ko khabar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai

khel samjhe na koi dil ko lagakar jina
khel samjhe na koi dil ko lagakar jina
gum ke sholo se salamat nahi rahta sina
gum ke sholo se salamat nahi rahta sina
pyar ek aag bhi hai rang bhi raag bhi hai
raas aata hai kahi dil jalata hai kahi
dil me himmat hai agar fir hai kis baat ka dar
kaarwa yuhi chale koi jalta hai jale
jalne walo ko yaha dil ki pahchan kaha
jalne walo ko yaha dil ki pahchan kaha
isiliye to kaha hai
khel samjhe na koi dil ko lagakar jina
khel samjhe na koi dil ko lagakar jina
gum ke sholo se salamat nahi rahta sina
gum ke sholo se salamat nahi rahta sina
hujur sach to ye hai ke ishk me jindagi
ishk me jindagi jal jal ke basar hoti hai
ishk me jindagi jal jal ke basar hoti hai
dil dhadkata hai
to duniya ko khabar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai

aankho aankho me jo ulfat ki kasam khate hai
aankho aankho me jo ulfat ki kasam khate hai
aankho aankho me jo ulfat ki kasam khate hai
wakai unke mukaddar bhi chamak jate hai
wakai unke mukaddar bhi chamak jate hai
in baharo ki kasam in najaaro ki kasam
husn kaatil hi sahi pyar mushkil hi sahi
fir bhi ek baat to hai ek mulakaat to hai
jajb-e-dil ki kasam
rang-e-mahfil ki kasam
mujhko pahchan hai ye mera imaan hai ye
mujhko pahchan hai ye mera imaan hai ye, kya
aankho aankho me jo ulfat ki kasam khate hai
aankho aankho me jo ulfat ki kasam khate hai
wakai unke mukaddar bhi chamak jate hai
wakai unke mukaddar bhi chamak jate hai
wakai unke mukaddar bhi chamak jate hai
kyonki, ishk par chand sitaro ki najar hoti hai
ishk par chand sitaro ki najar hoti hai
dil dhadkata hai
to duniya ko khabar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai
ishk walo pe zamane ki najar hoti hai


lyrics of song Ishq Walo Pe Zamane Ki Nazar

Comments for lyrics of song "Ishq Walo Pe Zamane Ki Nazar"
Ruben Gheraw on Wednesday, December 11, 2013
Awaaz hai Ya qudrat ka karishma, zindaghie hamare suru hote hai mohamed
rafi ke awaaz se, aur Gatam bhi hote hai inke awaaz se

FAQEERAHMED on Wednesday, January 06, 2010
darya hay rafi ke awaz. saaf aasmano se ARA HA HAY RAFI KE AWAZ. AWAZ HAY
YA MUJEZA YE HAME MALOOM NAHI HAY.



Film cast: Pradeep Kumar, Shakila, N A Ansari, Helen, Johny Walker, Nilofer, Nasreen
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Director: Ravi
Film Director: N A Ansari
Film Producer: Bundelkhand Films
External Links: Mulzim at IMDB    
Watch Full Movie: Mulzim at YouTube    Mulzim at YouTube    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy