Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Jaha Prem Ka Paavan Diyara Jale - जहाँ प्रेम का पावन दियरा जले
jahaan prem ka, paavan diyara jale
jahaan bole bachan, tab neer bhare
usi angana mein, usi dvaare pe
beete hamara bhi, jeevan raam kare
jahaan prem ka, paavan diyara jale
kaun nadi ki ham hain lahar
kaho aake mila re kinaara
jog likhe bin ham naahi, aisa milan hamaara
kin charanon mein na ghar na pare
jahaan prem ka paavan diyara jale
jis ka naahi apna koi, jo kah de use apna le
us ki karuna us ki daya ka, utare na karaj utaare
jiya jahaan hai, vahi ji mare
jahaan prem ka, paavan diyara jale
jahaan bole bachan, tab neer bhare
usi angana mein, usi dvaare pe
beete hamara bhi, jeevan raam kare
jahaan prem ka, paavan diyara jale