Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Jal Jal Ke Shama Ki Tarah - जल जल के शमा की तरह
jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna
main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna
mushkil hai bahut pyar ki duniya ko basana
bedard zamane ka tarika hai purana
do pyar bhare dil kabhi aabad na karna
main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna
jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna
main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna
aakash ki choti pe mahal humne banaya
duniya se bahut dur jahan apna basaya
kismat ne magar chaha hume shaad na karna
main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna
jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna
main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna
ab apne khayalo me mujhe tum na basana
bhule se kabhi tum mere sapno me na aana
agar dil me uthe dard toh fariyad na karna
main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna
jal jal ke shama ki tarah fariyad na karna
main yaad bhi aau to mujhe yaad na karna
Comments for lyrics of song "Jal Jal Ke Shama Ki Tarah"
rumahale on Thursday, July 17, 2014 "Jal Jal Ke Shama Ki Tarah Fariyaad Na Karna"
Movie: Fariyaadi (1953)
Lyrics: Muzaffar Orkazai
Music: B N Bali
Singer: Mohammad Rafi
Wonderful. You have made it my day.
Thank you for excellent presentation with this lost gem.
asim306 on Saturday, February 14, 2009 aaha-
wat a gr8 wording-
and gr8est ever voice-
thanx 4 share
RSS377 on Sunday, May 30, 2010 Hearing it for the first time. But Rafi at his best even in these forgotten
numbers
154228 on Wednesday, March 14, 2012 Great song I dont remember when I last heard ,thanks a lot (London uk)
saz9297 on Sunday, October 10, 2010 master piece song of rafi. never heard before thank you