Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Arab Ka Sitara
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
2.67 - 3 votes
Video of the song from youtube

Lyrics of Kabhi Hum Se Kabhi Gairo Se - कभी हम से कभी हमसे कभी गैरों से

kabhi humse kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai
kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai
kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai
kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai

ye to mana ki teri shakl badi bholi hai
hoke majbur bahut humne juban kholi hai
tujhme sab kuch hai magar dard ka ahasas nahi
sach to ye hai ki wafa ka bhi tujhe pas nahi
kitne dil chhin liye karke ishare tune
beshara kiya de de ke sahara tune
jisko chaha use dilwala bana ke choda
apni hasti se bhi begana bana ke choda
aur ye bhi na kaha ye mera saudai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai
kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai

wah kya khub mohabbat ka inam diya
apni barbadi ka ulta hume iljam diya
sama apni jagah khamosh jala karti hai
kab wo parwano se jalne ko kaha karti hai
bin bulaye yun hi parwane chale aate hai
hushn par mitne ko diwane chale aate hai
kya kayamat hai ki hum par hi tujhe naj bhi hai
aur fir teri shikayat ka ye andaj bhi hai
jaise humko jaise humkohi satane ki kasm khai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai
kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai

apni najaro se hasin tujhko banaya humne
jindagi ka har ek andaj sikhaya humne
teri maiy piti ajab apne gujar se pahle
humne dekha tujhe ulfat ki najar se pahle
warna mahfil me teri koi salika hi na tha
bat kuch jis se bane aisa tarika hi na tha
teri bato pe mohabbat ne bharosha bhi kiya
intaha ye hai ki bin mange tujhe dil bhi diya
uska badla uska badla ye judai hai ye tanhai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai
kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai

hum na hote to najar kis ka najara karti
nam le le ke juba kis ko pukara karti
asal me humne sikhaya tujhe jinda rahna
dil ki masum tamnnao ki rah me sahna
mere jalvo se chamak chand sitaro ko mili
aur balo ki mahak mast baharo ko mili
tune kaliyo ko to khilate huye dekha hoga
rang unme mera milte dekha hoga
kyoki tune kyoki tune bhi to bhanvre ki ada pai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai
kabhi humse kabhi gairo se sanatai hai
bat kahne ki nahi tu bhi to harjai hai

hum na hote to koi mohala tera hota
hum na hote to tere dil me andhera hota
aaj maine tujhe achi tarah pahchan liya
aaj main ebhi tujhe teri kasam man liya
yun to hum ek hai jahir nahi tasvire do
ek hi jalve se nikali hai ye talvire do
apni surat ke liye ishk murvat ke liye
yani hum dono jaruri hai mohabbat ke liye
bat bahar na chali jaye kahi ghar ki
aisi bato pe najar rahti hai duniya bhar ki
aisi takrar aisi takrar se hum dono ki ruswai hai
ab na kahna ye sanam tu bhi to harjai hai
aisi takrar aisi takrar se hum dono ki ruswai hai
ab na kahna ye sanam tu bhi to harjai hai
ab na kahna ye sanam tu bhi to harjai hai
ab na kahna ye sanam tu bhi to harjai hai


lyrics of song Kabhi Hum Se Kabhi Gairo Se



Film cast: Kamran, Sheela Kashmiri, Shyam Kumar, Habib, Ashraf Khan, Shaikh
Singer: Sabita, Mubarak, Shamshad Begum, Ismail, Meena
Lyricist: Saba Afghani, Ehsan Rizvi, Aziz Ghazi
Music Director: Sadat Khan
Film Director: R K Rakhan
External Links: Arab Ka Sitara at IMDB    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy