Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Kuchh Sher Sunata Hu Mai - कुछ शेयर सुनाता हूँ मैं
kuchh sher sunata hu main
kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
seekhi hai tumse phool ne, hansne ki har ada
seekhi hawaa ne tumse hi, chalne ki har ada
aainaa tumko dekh ke, hairaan ho gaya
ek bezubaan tumse, pashemaan ho gaya
kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan
rukti nahi zubaan
kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
haatho ki loch ras bhari shaakho ki dastan
naazuk hatheliyon pe wo, mehandi ka gulsita
pad jaaye tumpe dhoop to, sanwlaaye gora tan
makhmal pe tum chalo to, chhile paao gulbadan
kitni bhi taarif karu, rukti nahi zubaan
rukti nahi zubaan
kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
aankhe agar jhuke to, mohabbat machal uthe
nazren agar uthe to, qayaamat machal uthe
andaaz main huzoor ka, saani nahi koyi
dono jahaan me aisi, jawaani nahi koyi
kitni bhii taarif karu, rukti nahin zubaan
rukti nahin zubaan
kuchh sher sunata hu main, jo tujhse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
ik husn pari dil me hai, ye unse mukhaatib hai
Comments for lyrics of song "Kuchh Sher Sunata Hu Mai"
Indu Puri on Thursday, June 20, 2013 aankhen agar jhuken to, mohabbat machal uthhen nazren agar uthen to,
qayaamat machal uthhe andaaz main huzoor ka, saani nahin koyi donon jahaan
mein aisi, jawaani nahin koyi kitni bhiI taareef karoon, rukti nahin zubaan
rukti nahin zubaan kuchh sher sunaataa hoon main jo tujhse mukhaatib hain
ik husn pari dil mein hai, ye unse mukhaatib hain ik husn pari dil mein
hai, ye unse mukhaatib hain
RituPM :) FEELThePurityPeace&DepthINMusicINYourShr on Monday, November 07, 2011 What a sweet song of innocence in sweet confessions of a heart of a man in
love, for his beloved ! @2:30 "Kitnee bhi taareef karoon rukti nahi zubaan
"! How true IS it, that when we deeply, & truly care about someone, anyone,
(not just our beloved that we think, feel, or made to believe might be THE
one ), but how often words seem to fall short of expressing our depth of
thought, no matter how eloquent we may be. Communication, is key, but not
always, as effective :) Touching. Voice, & Poetry !
Indu Puri on Thursday, June 20, 2013 haathon ki loch ras bhari shaakhon ki daastaan naazuk hatheliyon pe wo,
mehandi ka gulsitaan pad jaaye tumpe dhoop to, sanwlaaye goraa tan makhmal
pe tum chalo to, chhilen paaon gulbadan kitni bhi taareef karoon, rukti
nahin zubaan
Indu Puri on Thursday, June 20, 2013 kuchh sher sunaataa hoon main kuchh sher sunaataa hoon main jo tujhse
mukhaatib hain ik husn pari dil mein hai, ye unse mukhaatib hain ik husn
pari dil mein hai, ye unse mukhaatib hain
Indu Puri on Thursday, June 20, 2013 antre ke aakhiri me antim shbd pr jo jor diya gaya hai usse gana kitna
jyada asardaa ho gayaa hai dada! mujhe bahut psnd hai. ek saans me poora
antra uthaayaa gya hai waaaaah