Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Log Har Mode Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyo Hai - लोग हर मोड़ पे रुक रुक के संभलते क्यों हैं
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
main na jugnu hu diya hu na koi tara hu
main na jugnu hu diya hu na koi tara hu
roshni wale mere naam se jalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
neend se mera taluq hi nahi barso se
neend se mera taluq hi nahi barso se
khawab aa aa ke meri chhat pe tehlte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye
mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin aake fisalte kyu hai
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain
log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
Comments for lyrics of song "Log Har Mode Pe Ruk Ruk Ke Sambhalte Kyo Hai"
Ishtiak Afruz on Monday, August 25, 2014 One of the best track i v ever listened... And Jagjit Singh is there
anything more than that... What a lyrics!
Ali Zaid on Sunday, January 29, 2012 @theJeetasingh sham u akal naam ke chez hy ke nahe koi jo dil karta hy
bukwas karna shoro kar dete ho tum log
Ali Zaid on Sunday, January 29, 2012 kaaamaaal kash ke khuda ap ke preshania sub khatam kar deta laken afsos ke
ap ko es dunia se jana para
theJeetasingh on Friday, January 20, 2012 when ever i listen to jagit singh i dont feel like going to wash room qabzi ho jati hay
rishiraj235 on Wednesday, September 28, 2011 is the best of song of jagjit singh jagjit singh is the king of ghazals.