Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Lut Gayi Ummido Ki Duniya - लूट गई उम्मीदों की दुनिया
lut gayi ummido ki duniya
lut gayi ummido ki duniya
khun hua armano ka
apno ne barbad kiya
kya shikwa kare begano ka
lut gayi ummido ki duniya
bairi hai bedard zamana
bairi hai bedard zamana
har aasu hai ek fasana
har aasu hai ek fasana
sunne wala koi nahi
in dard bhare afsano ka
lut gayi ummido ki duniya
khun hua armano ka
apno ne barbad kiya
kya shikwa kare begano ka
lut gayi ummido ki duniya
naav bhawar me dur kinara
naav bhawar me dur kinara
nazar na aaye koi sahara
nazar na aaye koi sahara
khevan har ne dil ko hara
jor bada tufano ka
lut gayi ummido ki duniya
khun hua armano ka
apno ne barbad kiya
kya shikwa kare begano ka
lut gayi ummido ki duniya
Comments for lyrics of song "Lut Gayi Ummido Ki Duniya"
rumahale on Sunday, November 15, 2015 Wonderful. Thank you for nice presentation.
Mohan on Tuesday, September 20, 2011 One of my favourite songs. Absolutely superb.