Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mai Aansu Aaj Baahaungi - मैं आँसू आज बहाऊंगी
mai aansu aaj bahaungi diwali nahi manaugi
jab lal mera ghar aayega tab ghar me deep jlaungi
tere charno ko chhukar ek ma ne kasam utha li hai
rat ye kitni kali hai kaisi ye diwali hai

aag lagi hai nfrat ki ye duniya jalne wali hai

na ye allah se darte hai na ye bhagwan se darte hai
ye to us rab ke bande hai jo khun kisi ka karte hai

pani se nahi bhujati in logo ki pyas nirali hai
rat ye kitni kali hai kaisi ye diwali hai
angare jisne barsaye ye kaisa sawan aaya hai
kya bhesh badal ke jogi ka phir koi ravan aaya hai

kon hai wo jalim jisne hum sabki nind chura li hai
rat ye kitni kali hai kaisi ye diwali hai
ujde ghar phir aabad karo is desh ko na barbad karo

ye logo naam khuda ka lo apne bhagwan ko yaad karo
mandir bhi suna suna masjid bhi khali khali hai