Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mai Ek Chingari Thi - मैं एक चिंगारी थी
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
mujhe kaun nikalega is band darwaje se
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
mujhe kaun nikalega is band darwaje se
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
har saans meri har aas meri
in deewaro me kaid hui
har saans meri har aas meri
in deewaro me kaid hui
main ek kali khil bhi na saki
bas andhiyaro me kaid hui
mujhe kaun nikalega is band darwaje se
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
socha na kabhi samjha na kabhi
mujhe kaun si manjil pani hain
socha na kabhi samjha na kabhi
mujhe kaun si manjil pani hain
ye raah nayi main khud hi chali
ye meri hi nadani hain
mujhe kaun nikalega is band darwaje se
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
main jinda laash sulagati hu tanhai ke angaro me
ye deeware hain kabr meri
main dafan hu in deewaro me
jivan ne to thukraya hain mujhe
ae maut bata tu kyu hai khafa
ab kaun sunega tere siwa
jo dard hain meri pukaro me
jo dard hain meri pukaro me
jo dard hain meri pukaro me
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
mujhe kaun nikalega is band darwaje se
main ek chingari thi
ab sirf andhera hu
Comments for lyrics of song "Mai Ek Chingari Thi"
Shiv Padwal on Wednesday, February 22, 2012 dis horror flick song picturised on kunika is fantastik
Sayed Shafik on Wednesday, March 18, 2015 It is nice song..
PRINCE TIGER on Thursday, November 26, 2009 upload the movie