Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mann Se Chinta Kee Ghata Dur Ho Ja - मन से चिंता की घटा, दूर हो जा दूर हो जा
man se chinta ki ghata, dur ho ja dur ho ja
man se chinta ki ghata, dur ho ja dur ho ja
ang ang me umang naach uthi
ang ang me umang naach uthi
man me koi tarang jaag uthi
jaag uthi
man me koyi tarang jag uthi
jag uthi
aankho me sundar sansar basa
man se chinta ki ghata, dur ho ja dur ho ja
man se chinta ki ghata, dur ho ja dur ho ja
aasha ki kyari me phul khile
do komal praano ke taar mile
aasha ki kyari me phul khile
do komal praano ke taar mile
dali pe do komal paat hile
dali pe do komal paat hile
jivan me naya naya pyar hansa
pyar hansa
man se chinta ki ghata, dur ho ja dur ho ja
man se chinta ki ghata, dur ho ja dur ho ja
dur desh se aayi kaali ghataaye
dur desh se aayi kaali ghataaye
barase ek naya git sunaye
barase ek naya git sunaye
dukh ke sagar me hain
sukh kaa sansar chhupa
man se chinta ki ghata, dur ho ja dur ho ja
Comments for lyrics of song "Mann Se Chinta Kee Ghata Dur Ho Ja"
Vidur Sury on Monday, April 18, 2011 @murtazaghullam Aap ke liye khushkhabri :) Mere paas donon gaane hain! Main
zaroor Thursday tak upload karne ki koshish karoonga. Kya aapke paas
Zohrabai Ji aur Khayyam Ji ka duet hai - "Donon Jahan Teri Mohabbat Mein
Haarke"?
Vidur Sury on Thursday, April 14, 2011 @murtazaghullam Nahin, aapne hi to itna nayab gaana upload kiya. Is favour
ke badle mein aapko bhi koi gaana chahiye to zaroor kahiye, upload kar deta
hoon.
Gm B on Sunday, April 17, 2011 @vidursury bhai agar aap k pass Romeo joelt 1947 ka ye gana he to plz
mujjhe inayat farmain song" musam ye suhana aaha" zohra bai ka gaya how ya
wo yaad aarahe hain lain unhain kahan se -gm durani same movie plz
Vidur Sury on Thursday, March 31, 2011 Thanks a lot Sir; male singer is S. D. Batish Ji.
Gm B on Wednesday, April 13, 2011 @vidursury shukriya