Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Mujhe Nahin Puchhani Tumase Biti Baatein - मुझे नहीं पूछनी तुमसे बीती बाते
mujhe nahin puchani tumse biti batein
mujhe nahin puchani tumse biti batein
mujhe nahin puchani tumse biti batein
kaise bhi guzari hon tumne apni ratein
jaisi bhi ho tum aaj se bas meri ho
jaisi bhi ho tum aaj se bas meri ho
meri hi banke rehna mujhe tumse hai itna kahna
mujhe nahin puchani tumse biti batein
kaise bhi guzari hon tumne apni ratein
bite huye kal pe tumhare adhikar nahin hai mera
bite huye kal pe tumhare adhikar nahin hai mera
us dvar pe main kyon jayu jo dvar nahin hai mera
bita huwa kal to bit chuka kal ka dukh aj na sahna
mujhe nahin puchani tumse biti batein
kaise bhi guzari hon tumne apni ratein
main ram nahin hoon phir kyun ummid karun sita ki
main ram nahin hoon phir kyun ummid karun sita ki
koyi insanon mein dhoondhe kyon pavanata ganga ki
duniya mein farishta koi nahin insan hi banke rahna
mujhe nahin puchani tumse biti batein
kaise bhi guzari hon tumne apni ratein
jaisi bhi ho tum aaj se bas meri ho
jaisi bhi ho tum aaj se bas meri ho
meri hi banke rehna mujhe tumse hai itna kahna
mujhe nahin puchani tumse biti batein
kaise bhi guzari hon tumne apni ratein
Comments for lyrics of song "Mujhe Nahin Puchhani Tumase Biti Baatein"
Indu Puri on Saturday, July 20, 2013 bahut achchhi lgti hai iski kuchh baaten .. ohhhhhhh likhne baithi too
poora gana likhna pd jayega bite huye kal pe tumhaare adhikaar nahin hai
mera us dvaar pe main kyon jaayun jo dvaar nahin hai mera bita huwa kal to
bit chuka kal ka dukh aaj na sahana mujhe nahin puchhani main raam nahin
hoon phir kyun ummid karun sita ki koyi insaanon mein dhoondhe kyon
paavanata ganga ki duniya mein farishta koyi nahin insaan hi banake rahana
mujhe nahin puchhani
KirtiKumar Kasat on Tuesday, December 21, 2010 mukeshji ki aawaz aur feroz sahab ki adayagi ko mera salaam.Kalyanji
anandji ke music ka toh koi mel nahi.koi mujhe yeh bata de is son ka
lyrisict kaun hai .i hav become a great fan of that person.
haikoi on Monday, February 07, 2011 I was lucky enough to be present at the Film center bombay when the song was recorded. Most unforgettable moment of my life.
zzaaiidd10 on Wednesday, September 22, 2010 wonderfull song & lyrics firoz khan looks so handsome & beautiful asha
parekh & the unique voice of the legend mukesh
love8084 on Wednesday, April 13, 2011 very close to my heart. full of reality & expression of true love.love this song