Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Musafir Ko Ghar Hi Aana Hai - मुसाफिर को घर ही आना है
saanjh ke suraj ko door kahaań jaana hai
chaand ko behla ke bhor ko aa jaana hai
musafir ko ghar he aana hai bhatak ke manaa
musafir ko ghar he aana hai
koi sab shohrateiń haath meiń dhar jaaye
tera bol-baala ho tu he tu nazar aaye
koi saari daulateiń tere naam kar jaaye
bharega kahiń na mann chaahe tu jidhar jaaye
tere aage peeche jo aaj ye zamaana hai
ek afsaana hai ye toh sab bahaana hai
musafir ko ghar he aana hai bhatak ke manaa
musafir ko ghar he aana hai
zindagi ye jaadu hai ya koi chalaawa hai
khaali khaali rasmoń ka khokla sa daawa hai
kaarvań chootenge, raaheiń tham jayengi
ruuh ye haqeeqat hai, jism dikhaawa hai
teri jo zameene haiń, tera jo khazaana hai
ye jo kaarkhaana hai, yahiń chhoot jaana hai
musafir ko ghar he aana hai, bhatak ke manaa
musafir ko ghar he aana hai
kisiko manaana hai, kabhi rooth jaana hai
koi zidd karni hai, aur thak jaana hai
saanjh ke suraj ko, door kahaań jaana hai
chaand ko behla ke, bhor ko aa jaana hai
musafir ko ghar he aana hai, bhatak ke manaa
manzar ye badal he jaana hai
musafir ko ghar he aana hai, bhatak ke manaa
musafir ko ghar he aana hai