|
|
Thumb |
Song Heading |
Singer / Movie |
Music By / Lyricist |
Actor / Category |
|
Video of the song from youtube |
Advertisements |
|
|
Lyrics of Nam Nahi Koi Dham Nahi - नाम नही कोई धाम नहीsun lo purab paschhim uttar dakshin ke ae logo
jivan sabke liye saja hai, hasate hasate bhogo
nam nahi koi dham nahi, hai number se pehchan
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi, hai number se pehchan
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi
bhasha ko diwar banake, kyu tu bair kamaye
bol pyar ki boli aisi, gair tera ho jaye
bhasha ko diwar banake, kyu tu bair kamaye
bol pyar ki boli aisi, gair tera ho jaye
dil ki bhyasha sab ki bhasaha, jan le o anjan
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi, hai number se pehchan
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi
bura na dekho, bura na bolo, bura suno na bhai
sab dharmo ka yahi hai maksad, yahi to hai sachchayi
bura na dekho, bura na bolo, bura suno na bhai
sab dharmo ka yahi hai maksad, yahi to hai sachchayi
chahe gita bibal padhalo, chahe granth kuran
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi, hai number se pehchan
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi
josh mein aake bhul gaya tu, tu hai ek khilauna
kok se tune janam liya hai, maut ki god mein sona
josh mein aake bhul gaya tu, tu hai ek khilauna
kok se tune janam liya hai, maut ki god mein sona
kandhe chadh ke jayega, nirbal ho ya balwan
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi, hai number se pehchan
kya raja kya rank yaha pe, sab hai ek saman
nam nahi koi dham nahi
|
Comments for lyrics of song "Nam Nahi Koi Dham Nahi" |
|
TheDeepakp on Sunday, April 06, 2014 Film cast: Rajendra Kumar, Rakhee, Pran, Jagdeep, Kum Kum, Som Dutt,
Kanhaiya Lal, Baby Tabassum, Sunder, Bhagwan, Anwar Hussan, Ram Mohan,
Moolchand, Indu Shivraj
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Lyricist: Hasrat Jaipuri, Gulshan Bawra
Music Director: Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal
Film Director: Prakash Mehra
Film Producer: Malik Chand Kochar
|
Aan Baan |
Film cast: | Rajendra Kumar, Rakhee, Pran, Jagdeep, Kum Kum, Som Dutt, Kanhaiya Lal, Baby Tabassum, Sunder, Bhagwan, Anwar Hussan, Ram Mohan, Moolchand, Indu Shivraj | Singer: | Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar | Lyricist: | Hasrat Jaipuri, Gulshan Bawra | Music Director: | Shankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal | Film Director: | Prakash Mehra | Film Producer: | Malik Chand Kochar | External Links: | Aan Baan at IMDB Aan Baan at Wikipedia |
|
|
|