Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Nikle The Kabhi Hum Ghar Se - निकले थे कभी हम घर से
nikle the kabhi hum ghar se
ghar dil se magar nahi nikla
ghar basa hai har dhadkan mein
kya kare hum aise dil ka
badi door se aaye hai badi der se aaye hai
par yeh na koyi samjhe hum log paraye hai
katt jaaye patang jaise aur bhatke hawaon mein
sach puchho toh aise din humne bitaye hai
par yeh na koyi samjhe ham log paraye hai
yahi nagar yahi hai basti
aankhein thi jise tarasti
yahan khushiyan thi kitni sasti
jaani pehchani galiyan
lagti hai puraani sakhiyan
kahan kho gayi woh rang raliyan
baazaar mein chai ke dhaabe
bekaar ke shor sharaabe
woh dost woh unki baatein
woh sare din sab raatein
kitna gehra tha gam inn sab ko khone ka
yeh keh nahi paaye ham dil mein hi chhupaye hai
par yeh na koyi samjhe ham log paraye hai
nikle the kabhi hum ghar se
ghar dil se magar nahi nikla
ghar basa hai har dhadkan mein
kya kare hum aise dil ka
kya humse hua kya ho na saka
par itna toh karna hai
jis dharti pe janme the uss dharti pe marna hai
jis dharti pe janme thhe uss dharti pe marna hai