Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Phul Gulab Kaa - फूल गुलाब का
phul gulab ka phul gulab ka
lakho me hajaro me ek chehara janab ka
phul gulab ka
han jhonke surur ke han jhonke surur ke
aisi tarife aisi tarife karna sikhe koyi hujur se
phul gulab ka han jhonke surur ke
gore gore hatho me mehendi mehkati hai
gore gore hatho me mehendi mehkati hai
phul si kalayi me chudi khankati hai chudi khankati hai
mauje janab ki mauje janab ki
mathe pe chamakati bindiya hijab ki
phul gulab ka jhonke surur ke
khushbuyo ke saye me kya kya gul bute hain
khushbuyo ke saye me kya kya gul bute hain
prem rang sachcha hai baki rang jhuthe hain baki rang jhuthe hain
mausam javan hai mausam javan hai
tauba bolu kya bolu mushkil me jan hai jhonke surur ke
thami thami lahare hain ruka ruka pani
thami thami lahare hain ruka ruka pani
teri meri aankho me rat ki kahani
teri meri aankho me rat ki kahani
wada bahar ka hai wada bahar ka
umrr bhar gayenge nagma yeh pyar ka
phul gulab ka
lakho me hajaro me ek chehara janab ka
jhonke surur ke han jhonke surur ke
aisi tarife aisi tarife karna sikhe koyi hujur se
phul gulab ka phul gulab ka
lakho me hajaro me ek chehara janab ka
phul gulab ka phul gulab ka
lakho me hajaro me ek chehara janab ka
Comments for lyrics of song "Phul Gulab Kaa"
dipsanathra on Sunday, February 28, 2010 jub tuje yehi gulab ke kante lagege tab pata chale ga
khibshrat aurat ke nakhare jab samne ayege tab bete tuje pata chale ga
aaj jo khubshorat dil hai
uska jab tuje bada bil chukana padega tab pata chale ga
aaj jo tume ache lagate hai wohi jab kisi aur ki ho jayegi ok
Dinesh Vasudevan on Sunday, February 12, 2012 Where is Md Aziz and Shabbir kumar Acha gayak kalaakar the woh donon
Ashchee Mishra on Sunday, June 10, 2012 Lovely song...:)
Raymal Dawar on Friday, November 23, 2012 lovely songs