Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Raksha Bandhan Vaada Hai Ya Dhaaga Hai Pyar Ka - रक्षा बंधन वादा है या धागा है प्यार का
pehli yaari tumse meri
pehla ghussa tumse tha
bhai mere bachpan ka to
pura qissa tumsa tha
aadha hissa tha wo mera
aadha hissa tumse tha
bhai mere bachpan ka to
pura qiisa tumsa tha
raksha bandhan wada hai
ya dhaga hai pyaar ka
ho dhaga hai pyar ka
thoda sa hai chandan
chota sa hai teeka
bandhan zindagi ka
raksha bandha wada hai
ya dhaga hai pyaar ka
ho dhaga hai pyar ka
saat rang sacche sabhi
kab hue hai kache kabhi
dekhne ko najuk hai par
tute na doriya
chahto ki jhanki mile
chhithiyon me rakhi mile
bhulti kabhi na behne
ho hajaron duriya
raksha bandha wada hai
ya dhaga hai pyaar ka
ho dhaga hai pyar ka
ma ki ek parchai si
behen mein dikhayi deti
aur pita nazar aate hai
bhaiyon ki baat mein
khoon ka yeh rishta bhi hai
hai zuban ka nata bhi
maan jo liya bhai to
saans saans sath mein
raksha bandha wada hai
ya dhaga hai pyaar ka
ho dhaga hai pyar ka.