Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Sun Chaand Meri Ye Daastaan - सुन चाँद मेरी ये दास्ताँ
sun chaand meri yeh daasta, mai kahu tujhe ya ke na kahu
teri chandani tere paas hai, mujhe yeh bata mai kaha rahu
sun chaand meri yeh daasta
khili rain me dekho chain se, hai yeh saara aalam so raha
tere in sitaaro ki chhaanv me, mai akela chupchup so raha
lagi aag birah ki ang me, mai sahu ise ya ke na sahu
mai sahu ise ya ke na sahu
sun chaand meri yeh daasta
wo najar jo dil me utar gayi, jaise chubh gaya koi shul ho
wo hatheli par tera mukh saja, jaise phul par koi phul ho
yu bahe nadi teri yaad ki, mai bahu yahan ya ke na bahu
mai bahu yahan ya ke na bahu
sun chaand meri yeh daasta
Comments for lyrics of song "Sun Chaand Meri Ye Daastaan"
Indu Puri on Saturday, June 01, 2013 itna pyara gana aur jaane kaise meri nazar se chook gya. (sun chaand meree
yeh daastaan, mai kahu tujhe ya ke na kahu teree chandanee tere paas hai,
mujhe yeh bata mai kaha rahu khilee rain me dekho chain se, hai yeh saara
aalam so raha tere inn sitaaro kee chhaanv me, mai akela chup chaap so raha
lagee aag birah kee ang me, mai sahu ise ya ke na sahu sun chaand meree yeh
Indu Puri on Saturday, June 22, 2013 bhai! yh gana to mukesh ji ki hi aawaz me hai. Ajay ji khud gaate bhi hai
kya??? mujhe link dijiyega unka. sunungi aur...aap try kro ye gana
bilkul though nhi hai.ek do din ki riyaaz ke baad easily gaya ja skta hai
babu! try kro. aap ga loge. aapne isse bhi mushkli gane gaye hue hain :)
sda khush rho. gaate rho :)
Bhupinder Pujji on Thursday, February 10, 2011 kya baat hai poorana geet mukesh jee ka very melodious thanks for sharing
this gem of 1963 I had moved to chandigarh and joined the law college
campus thanks for reminding me of the old times bhupinder pujji
Indu Puri on Saturday, June 01, 2013 woh najar jo dil me utar gayee, jaise chubh gaya koi shul ho woh hathelee
par tera mukh saja, jaise phul par koi phul ho yu bahe nadee teree yaad
kee, mai bahu yahan ya ke na bahu
Pradeep Sharma on Saturday, June 22, 2013 Oh Indu Ji ... This is Tough One ... Ajay Ji Has Sung So Beautifully , I
Will Try My Best To Record This One For You :) Warm Regards