Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
hum bhakt tumhaare jaayein kahaan
sankat mein hai dil meri sun le sada
hum bhakt tumhaare jaayein kahaan
sankat mein hai dil meri sun le sada
kuch samajh nahi aata mujhko
ye mere sang kya ho riya
kuch karo, kuch karo, kuch karo haan ji kuch karo
suno ganpati bappa morya Pareshan karein mujhe chhoriyan
difficult samasya ka kuch samadhan do
chinta ka vishay hai bappa thoda sa to gyaan do
koi meethi meethi baatein mere kaanon mein gholein
knock kare mere dil ka darwaaza khole
kudiyan bigaadne mein lagi hain mujhko
main bhi bigadne laga haule haule
kuch samajh nahi aata mujhko
mai hans riya ya ro riya
kuch karo, kuch karo, kuch karo,
haan ji kuch karo suno ganpati bappa morya
pareshan karein mujhe chhoriyan c'mon c'mon
hey ho hey ho tere siva koi nahin mera iss jahaan mei
tere charno mein rehke hua re jawaan main
dil nahi mera yeh to tera hi ghar hai
tu jo saath hai to kis baat ka darr hai
thoda innocent thoda shararati
jaisa bhi hoon tujhko meri khabar hai
kabhi maine ratte hain tere bhajan
kabhi tune sunaayi loriyaan
kuch karo, kuch karo, kuch karo
haan ji kuch karo suno ganpati bappa morya
pareshan karein mujhe chhoriyan
ganpati bappa morya mangal murti morya