Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Tod Diya Dil Tune Sawariya - तोड़ दिया दिल तूने साँवरिया
kya dekha hai kya dekhenge
kya kya nahi dekha aankho ne
magar aisa tamasha nahi dekha
tod diya dil tune sanwriya
bali umar mein bhigi chundariya
tod diya dil tune sanwriya
tan ko jalaye aag ye man ki
laagi najariya kis sautan ki
tan ko jalaye aag ye man ki
laagi najariya kis sautan ki
lut gayi aake tori nagriya
tod diya dil tune sanwriya
bhayi bairan kajarari ratiya
badali aisi kahe ko ankhiya
bhayi bairan kajarari ratiya
badali aisi kahe ko ankhiya
ho harjai kya thi khabriya
tod diya dil tune sanwriya
jaise abhi ho waise nahi the
raam kasam tum aise nahi the
jaise abhi ho waise nahi the
raam kasam tum aise nahi the
jaani naa tune mori kadriya
tod diya dil tune sanwriya
bali umar mein bhigi chundariya
tod diya dil tune sanwriya