Video of "Tu Pyar Ka Sagar Hai Teri Ek Bund Ke Pyase Hum" from YouTube
Tu Pyar Ka Sagar Hai Teri Ek Bund Ke Pyase Hum Video Thumbnail
Advertisement
Tu Pyar Ka Sagar Hai Teri Ek Bund Ke Pyase Hum - तू प्यार का सागर है तेरी एक बूँद के प्यासे हम
Lyrics of Tu Pyar Ka Sagar Hai Teri Ek Bund Ke Pyase Hum - तू प्यार का सागर है तेरी एक बूँद के प्यासे हम
tu pyaar ka saagar hai, tu pyaar ka saagar hai
teri ek bund ke pyase hum, teri ek bund ke pyase hum
lauta jo diya tumne, lauta jo diya tumne
chale jaayenge jahan se hum, chale jaayenge jahan se hum
tu pyaar ka saagar hai, tu pyaar ka saagar hai
teri ek bund ke pyase hum, teri ek bund ke pyase hum
tu pyaar ka saagar hai

ghaayal man ka pagal panchhi udne ko bekaraar
udne ko bekaraar
pankh hai komal, aankh hai dhundli, jana hai saagar paar
jaana hai saagar paar
ab tu hi ise samjha, ab tu hi ise samjha
raah bhule the kaha se hum, raah bhule the kaha se hum
tu pyaar ka saagar hai
teri ek bund ke pyase hum, teri ek bund ke pyase hum
tu pyaar ka saagar hai

idhar jhumke gaaye zindagi, udhar hai maut khadi
udhar hai maut khadi
koi kya jaane kaha hai seema, uljhan aan padi
uljhan aan padi
kaano me zara keh de, kaano me zara keh de
ke aaye kaun disha se hum, ke aaye kaun disha se hum
tu pyaar ka saagar hai
teri ek bund ke pyase hum, teri ek bund ke pyase hum
tu pyaar ka saagar hai, tu pyaar ka saagar hai
lyrics of song Tu Pyar Ka Sagar Hai Teri Ek Bund Ke Pyase Hum
Poetic Translation - Lyrics of Tu Pyar Ka Sagar Hai Teri Ek Bund Ke Pyase Hum - तू प्यार का सागर है तेरी एक बूँद के प्यासे हम
You are the ocean of love, the ocean of love,
We thirst for a single drop, a single drop,
If you refuse us, if you refuse us,
We will depart this world, depart this world.
You are the ocean of love, the ocean of love,
We thirst for a single drop, a single drop.
You are the ocean of love.

A wounded heart, a mad bird, yearns to fly,
Yearns to fly.
Its wings are frail, its eyes are dimmed, it seeks the ocean's shore,
Seeks the ocean's shore.
Now you must guide it, now you must guide it,
From which lost path did we stray? From which lost path did we stray?
You are the ocean of love,
We thirst for a single drop, a single drop.
You are the ocean of love.

Here, life sings and sways, there, death awaits,
There, death awaits.
Who knows where the boundary lies, confusion has descended,
Confusion has descended.
Whisper in our ears, whisper in our ears,
From which direction did we come? From which direction did we come?
You are the ocean of love,
We thirst for a single drop, a single drop.
You are the ocean of love, the ocean of love.

Seema (1955) - Movie Details
Film CastPratima Devi, Balraj Sahni, Nutan, Sunder, Shobha Khote, Indu Shivraj, Krishan Kant, C S Dube, Parveen Paul, Mumtaz Ali, Baby Shashi, G P Singh, Neel Kamal, Ajay, Premlata, Jagdish SingerLata Mangeshkar, Manna Dey, Mohammed Rafi LyricistHasrat Jaipuri, Shailendra Music ByShankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai Pankal DirectorAmiya Chakraborty ProducerAmiya Chakraborty, C S Dube External LinksSeema at IMDB      Seema at Wikipedia Movie at YTSeema at YT    Seema at YT(2)    
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
Browse by Singer Name (Alphabetically)
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
Advertisement