|
|
|
|
|
|
|
|
Thumb |
Song Heading |
Singer / Movie |
Music By / Lyricist |
Actor / Category |
|
Video of the song from youtube |
|
|
|
Lyrics of Tujhe Ram Kahoon - तुझे राम कहूँ aa aa aa o o
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
tu jaanta mujhe kya chahiye
tu jaanta mujhe kya chahiye
pasara hai maine palla
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
dharti pe jab jab badha paap tab tab
logo ne di hai duhai
tumne mitakar anyay jag se
prem ki jyot jagai
nanak kahe mahaveer kahe
jhule laal kabhi, kabhi sai
jitne hi naam tere utne hi dham
par sab me hai ek parchhayi
suraj chanda taare dipak
sab me tera ujiyara
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
aasha ka dipak jalaye huye
aandhi ise na bujha de
tere bharose pe chhodi hai naiya
dubo de ya paar laga de
hum ye na jane bhala kya bura kya
kya paap hai punay kya hai
hai kaun kya, kiske dil me hai kya
ae maalik tu sab jaanta hai
antaryami jag ke swami
humko tera hi sahara
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
tu jaanta mujhe kya chahiye
tu jaanta mujhe kya chahiye
pasara hai maine palla
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
tujhe ram kahu ya sham kahu
ishwar kahu ya allah
Mujhe Vachan Do |
Film cast: | Mahendra Sandhu, Vijayendra, Neeta Mehta, Deepika, Ranjeet, Danny Denzongpa | Singer: | Lata Mangeshkar, Kishore Kumar, Asha Bhosle, Vinod Sehgal | Lyricist: | rRavinder Rawal | Music Director: | Ram Lakshman | Film Director: | Shibu Mitra | Film Producer: | Mahendra Sandhu | External Links: | Mujhe Vachan Do at IMDB |
|
|
|
|
|