Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Ye Zindagi Karar Ko Taras Rahi Hai - ये जिंदगी करार को तरस रही है
ye zindagi karar ko taras rahi hai aa bhi ja
ke har taraf ek aag si baras rahi hai aa bhi ja
ye zindagi karar ko
gam ki umar bhad gayi dard hai shabab par
ro raha hai ye nasib behisab par
bebasi ke ye bekashi bhad rahi hai aa bhi ja
ye zindagi karar ko taras rahi hai aa bhi ja
ye zindagi karar ko
hasrato pe hai dahan lut raha hai pyar bhi
kya hamara nasib hai tera intzar bhi
mujhe teri ye aag jhulsa rahi hai aa bhi ja
ye zindagi karar ko taras rahi hai aa bhi ja
ye zindagi karar ko
dekh meri aabaru tere hath hai khuda
gardishe jawani hai jane aur hoga kya
har bala nasib ko das rahi hai aa bhi ja
ye zindagi karar ko taras rahi hai aa bhi ja
ye zindagi karar ko
Comments for lyrics of song "Ye Zindagi Karar Ko Taras Rahi Hai"
Reincarnation on Sunday, March 23, 2014 lovely song.