Video of "Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsaat Ki Raat" from YouTube
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsaat Ki Raat Video Thumbnail
Advertisement
Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsaat Ki Raat - ज़िंदगी भर नहीं भूलेगी वो बरसात की रात
Lyrics of Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsaat Ki Raat - ज़िंदगी भर नहीं भूलेगी वो बरसात की रात
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
ek anjaan hasina se mulaqaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi

haay wo reshmi zulfo se barasta pani
haay wo reshmi zulfo se barasta pani
phool se gaalo pe rukne ko tarasta pani
dil me toofaan uthaate huye
dil me toofaan uthaate huye jazbaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi

dar ke bijli se achaanak wo lipatna uska
aur phir sharam se bal kha ke simatna uska
kabhi dekhi na suni aisi ho
kabhi dekhi na suni aisi tilismaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi

surkh aanchal ko dabakar jo nichoda usne
surkh aanchal ko dabakar jo nichoda usne
dil pe jalta hua ek teer sa chhoda usne
aag pani me lagate huye
aag pani me lagate huye halaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi

mere naghmo mei jo basti hai wo tasveer thi wo
naujawaani ke haseen khwaab ki taabeer thi wo
aasmanon se utar aayi ho
aasmanon se utar aayi thi jo raat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi wo barsaat ki raat
ek anjaan hasina se mulaqaat ki raat
zindagi bhar nahi bhulegi
Poetic Translation - Lyrics of Zindagi Bhar Nahi Bhulegi Woh Barsaat Ki Raat - ज़िंदगी भर नहीं भूलेगी वो बरसात की रात
The monsoon's embrace, a night etched in time,
A stranger's fair face, in shadows to climb.
That night of encounter, a memory's gleam,
Forever it dances, a vibrant, rich dream.
That night I'll remember, forever and then,
A spark in the darkness, again and again.
That night will linger, a whisper of grace,
Forever it lingers, in time and in space.

Barsaat Ki Raat (1960) - Movie Details
Film CastBharat Bhushan, Madhubala, Shyama, Ratna, Chandrashekhar, Mumtaz Begum, S K Prem, K N Singh, Peace Kanwal SingerAsha Bhosle, Balbir Bittu, Kamal, Lata Mangeshkar, Manna Dey, Mohammed Rafi, S D Batish, Shankar Shambhu, Sudha Malhotra, Suman Kalyanpur LyricistSahir Ludhianvi Music ByRoshan DirectorP L Santoshi External LinksBarsaat Ki Raat at IMDB      Barsaat Ki Raat at Wikipedia Movie at YTBarsaat Ki Raat at YT    Barsaat Ki Raat at YT(2)    
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
Browse by Singer Name (Alphabetically)
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
Advertisement