Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Zindagi Se Nata Tod Ke Kaha Chala Hai - जिंदगी से नाता तोड़ के कहाँ चला है
jinagi se nata todd ke kaha chala hai
sahara lene maut ka laut aa laut aa
andhera hai vaha jaha tujhko hua hai dhokha jyot ka
jinagi se nata todd ke kaha chala hai
sahara lene maut ka
tune samjha chaman me fiza hi fiza hai
par hasti si bahar ka sama bhi yaha hai
dekh ab palat kar jane wale laut aa laut aa
andhera hai vaha jaha tujhko hua hai dhokha jyot ka
gham ki raat hi layegi khushi ka saveri
soyi kismat jagegi mitega andhera
deep fir jala le aasha wale
laut aa laut aa
andhera hai vaha jaha tujhko hua hai dhokha jyot ka
jinagi se nata todd ke kaha chala hai
sahara lene maut ka
toofan kab tak layega samay ka ye dhara
tere sapno ki naiya ko milega kinara
aaj ke ye toofan kal tak na honge
laut aa laut aa
andhera hai vaha jaha tujhko hua hai dhokha jyot ka
jinagi se nata todd ke kaha chala hai
sahara lene maut ka